SSO ID Password reset,Regestration and Delete

Hum apko is article me sso id ke samband me lagbhag sari problem ka soultion prdan karenge.

SSO (single sine on) Rajasthan sarkar dawra apne nagrico banaya gaya ek ekikrit platform he jaha se aap sirf ek jaghe se ghar bethe her sarkari kam kara sakte he. yhe youjna bharat sarkar ki Digital India ke liye mil ka patther sabit hui or Rajasthan sarkar dawra good governance ki nayi paribhasha gadhi gayi

SSO id rajasthan ke sabhi nagriko ke pas hona jaruri he iski madad se student ghar bethe online form bhar sakta he.

is article me hum apko sso id ke bare me pure jankari denge jese- ye kesai banaye, sso id ke fayde, sso id ke paswoord keasi reset kare, sso id kaise delet kare, sso id se online sarkari kam kesai kare.

Savdhaniya- agar aap sso id bana rahe ho to apka pas jo docoment he unka phone number se link hona jaruri he, nhi to jab ap password bhul jayge to thori dikkat ho sakti he.



Sso ID Customer care number-

              Niche diye image me diye number par call kar ke  aap adhik jankari le sakte ho ya apni problem e-mail kar sakta hai.


custmer numb
sso id help desk




sso ID password reset kaise kare?-

how to reset sso id password? password yadi aap bhul gaya ho to apko chinta karne ke koi bat nhi he. sso id ke password reset karna bahut hi aasan he. Hum apko kuch tarike bata rahe jin se aap aapna password aasani se reset kar sakte he.

Aadhar Card wale password kaise reset kare?

  1. sabse pehle aap apna bowser open kar ke or waha sso.rajasthan.gov.in search kare.
  2. pehle app ye nischit kare ki apka adhar card phone number se juda he ya nhai.
  3. yadi apka aadhar phone number se nahi juda hai to aap finger print scanner ki madad se password reset kar sakte ho.
  4. ab waha I forgot my password par click kare. 
    sso id password reset
  5. aab niche di image ke jesi ek window open hogi waho se aadhar card select kar le or apni jankari bher de.               
    sso id password reset

  6. Ab ap ke jo phone number aadhar se link hai us par ek OTP ( one time password) password bheja jayga. aap apne phone se message se wo OTP copy kar ke wapas apna brouser khol kar usme enter kar de or apna naya password dal de.

Bhamashah card wale sso id password kaise reset kare?

  1. aap sabse pehle apna browser open kar le or sso.rajasthan.gov.in search kar le.  
    sso id password reset
  2. ab forgat password par click kare.
  3. apna bhamasha id ko box me enter kare.
  4. bhamasha card se link mobile number pe ek OTP jayga us otp ko ap website par enter kare or apna password dubara se bana le.

SSO ID forget hone par reset kaise kare-

yadi aap apna id ko bhul gaue ho to usko reset kaise kare. 
  1. sabse pehle phone me brouser open kar le
  2. aab usme sso.rajasthan.gov type kar le.
  3. niche di gayi image ke anusar forgot my ssoid par click kare.  
    forget sso id
  4. Image anusar apke samne ek window open hogi us me se aap apna document select kar le jisko apne pehle id banate samaye submit kiya tha, ab us par click kar de.  
    forgot sso id
  5. ab apke samne ek window open hogi jisme apko apna docoment ka number type karna hai.
  6. ab jis mobile number se apka docoment link waha up per ek OTP message aayega up otp message se aap diye gaye aank ko copy kar ke wapas brouser me aa jaya or enter otp wale box me otp dal de.
  7. ab aap apna naya password dal de.


SSO ID kaise banaye-

SSO id banane ke liye inme se koi ek document hona jaurui hai-

  1. Bhamashah Card
  2. Aadhar Card
  3. E-mail Account (Google +)
  4. Facebook Account
  5. Twitter Account

sapse pehle enme se koi ek docoment le or nischit kar le apka wo document apke phone number se link hona chahiya nahi to password bhul jane par wapas password reset karn me dikkat aayeg.

SSO ID banane ke steps-

  1. sabse Pehle apne phone par koi bhi browser open kar le.
  2. waha par search bar me type kare " sso.rajasthan.gov.in".
  3. Ab apke samne ek windown khulegi usme apko registration nam dikhai dega us par click kare.          
    New sso id
  4. agar apke pas facebook account he to us par click kar ke apne face book id password dal de. or log in par click kar ke aap apna  account bana sakte ha.
  5. yadi aap gmail or twitter account se banana chahte he to ap us icon par click kar ke apna id password dal de or apka direct ban jayja.
  6. jiske pas bhamasha card he wo apne bhamasha card par click kare or waha bhamashah ID number dal kar ke Regestration kar sakta hai.
  7. jin ke pas aadhar card hai wo sidhe aadhar card par click kare or apna aadhar card number dale, uske bad apke phone par ek otp aayegi us otp ko diye gaya box me dale is trahe aap regestration kar sakte ho. 




sso id ke fayde-


  1. Iski madad se aap ghar beithe bhamashah yojna ka labh utha sakte he. apko bhamashah card banane liya kisi E-mitr par nahi jana hoga ye aap apne mobil se ghar beithe he kar sakte ho. bhamashah card ko update kare sakte he or Narega aadi ke Rupia ghar beithe apne bank khate me prapt kar sakte ho.
  2. Student is par live ghar baithe nokri ke liye apply form ki jankari le sakte he.
  3. student online bharti liya direct apply kar sakta hai.
  4. Bhamashah Rozgar Srijan Yojana (BRSY) liya aap ghar beithe hi apply kar sakte ho.
  5. ap yadi arms (hathiyar) rakhte ho to aap iski madad se ghar baithe he licence prapt kar sakte ho.
  6. Aap Rajasthan ka kisi bhi college me ghar baithe hi apply kar sakte he sath hi fees bhi bhar sakte he or rasid bhi prapt kar sakte he, rajasthan ke sabhi college ke bare me jankari le sakte he.
  7. Agar aap kisi hostel me rehte ho to aap yaha par uska bayor de sakte ho jisse aapke sath koi unhoni ghatna nhi ho.
  8. Student iski madad se kahi par bhi online padh sakta he or compitation ki teyarri kar sakta he.
  9. yaha par E-liberary ki madam se aap free me book padh sakte ho.
  10. yaha par aap kisi bhi prkar ki Light connetion se sambandhit  online complain kar sakte ho.
  11. Iski madad se aap E-mitr ka kam aap khud kar sakte ho.
  12. Vyapari ghar baithe GST ki jankari le sakte he.
  13. E-sakhi yojna ka labh utha sakte ho.
  14. Rojgar malo ki jankari le sakte ho.
  15. Maderse k jankari le sakte ho or unki report dekh sakthe ho.
  16. CM jal sawalamban abhiyan ki report dekh sakte ho.
  17. Police me derz FIR ko live treck kar sakte ho.
  18. Kissan mandi me ghar baithe aanaj ke bhav ka pata kar sakte he.
  19. Free E-mail bana sakte ho.
  20. Iski madad se aap ghar baithe online bijli, pani, mobile ke bill ko bhar sakte ho jisse aapko line me chackar nhi lagana padaga.
  21. Kisi Sarkar office ki complain sidhe sarkar ko kar sakte ho.


                       Ek trahe sa aap Rajasthan sarkar k lahbag sabhi Yojnao ka ghar baithe labh utha sakte ho.


Rajasthan Sarkar ki ye yojna itni famous rahi ki is par aaj tak 1,29,86,339 account open ho chuke he. Is yojna se rajasthan sarkar ko Smart Governance Award 2017 ke golden se nawaja gaya tha jo department of information technology and communication ko navaja gaya, isi ke sath ise Scotch group dawara SCOTCH ORDER-OF-MERIT ka bronze award se bhi nawaja gaya.

Isme G2G 144 aap ka bhandar hai.
Isme G2C/G2B ke 104 aap ka bhandar hai. jaha aap aasani se rojmara ke sarkari landan ke kam ghair baithe hi kar sakte ho jisse aapka samay ka bachat hogi sath hi apko e-mitr ki line se bhi chutkara mil jayja.

Rajasthan sarkar ne ye skim rajasthan ke nivasio liye banayi hai jisse citizeons ko sabhi suvadhio ko ek hi platform par ek jaghe sare kam ho sakte hai. aaj student ko har kam kai liye e-mitra par jane ki jarurat nahi hai kyonki wo yaha sai sidthe goverment job ke liya apply kar sakta hai. online ghar baithe berojgari kai liye form bhar sakta hai ya bhamasha rojgar yojna ke antergat rojgar lai akta hai. yadi student ne koi govenment bharti ka exam diya hai or uski answer key aa gayi hai or usme apko up answer key par koi objection hai to aap sidhe account long in kar ke objection de sakte ho.

jinko padhne ka sokh hai wo log bhi yaha par long in kar kai bahaut sari e-book padh sakte hai. sath hi comptiation exam ki teyari karne wale student yaha sai government exam ki teyari yaha par di gayi E-book ki madad sai kar sakte hai.yaha par schoole mai padhne wale students ke liya bhi bahut sari suvidhai hai kyonki yaha par class 1st sai lekar 12th class tak ki E-book bhari padi hai.

Manarega skim ke tehat rojgar pane wale log sidhe hi apne peso ko bank account me dal akte hai or sath hi apne account ki jankari lai sakte hai.

kisan is account ki madad sai aasani sai ghair baithe hi mandi ke fasal bhav deikh sakte hai.
kehne ka matlab ye hai ki aap chahe koi bhi job karte ho ya fir aap sarkari job karte ho ya aap koi kissan ho ya student ho aap sab k pas ye account to hona hi chahiya kyonki is ek account sai aap ne jane rajasthan sarkar ki kiyni suvidhao ka fayda le sakte ho or sath hi rajasthan ke vikas ko lekar bhi update rehe rahe sakte ho.
to aakhir me m aap sab se ek hi bat boulunga ki aap sab ka pas ye account hona jaruri hai agar aap rajasthan ke nagrik ho kyonki iske hone par aap ko kahi or nhai jana padega sab sarkari kam yaha se hoga dhan or samay ki bachat hogi. to yadi apke pas ye account nahi hai to abhi website par jaiye or apna account kholeya.
jay hind


   Dosto mey aasha karta hu ki hamare dwara likha article jauru pasand aaya hoga or apko iski madam se password reset karne me bhi madad mili hogi. yadi fir bhi apko isme koi problem ho rahi hai to niche comment karna na bhule me aapko uska jauru javab dunga. yadi apka koi sujav ho to use bhi niche comment me likhna ne bhule 


SSO ID Password reset,Regestration and Delete SSO ID Password reset,Regestration and Delete Reviewed by Nandu on January 05, 2019 Rating: 5

7 comments:

  1. do sso id hone se dono koi bhi nahi chal rahi ek chalu karni he or ek bnad karani he

    ReplyDelete
  2. Nahi pasand aaya delete ke bare me bhul gaye

    ReplyDelete
  3. Great Article my friends, You have done such a great work. Awesome
    SSO ID

    ReplyDelete
  4. Hello Mr, aapka information bohot accha hai, and aap pura deeply cover kie ho, thanks for this article
    Rajasthan SSO ID

    ReplyDelete
    Replies
    1. सर Ssoid को डिलीट करवाना है

      Delete
  5. Sir mai govt employee hu 0ahle ssoid banai thi usse form apply kiya tha jisme aadhar number dala tha ab fresh Id govt employee wali se form nahi bhara ja raha aadhar number already pahle wali I'd mai use kiya hua bata raha hai solution bataye please

    ReplyDelete
  6. Sir meri sso Id MEENA DEVI DELETE KARNI H

    ReplyDelete

Powered by Blogger.